Friday, April 13, 2012

Vo Kali Jo Fool Ban Na Saki........

Chali ek Taja Kali,Nami Aakho me Bhari,
Chali badha ke kadam,apni Manjil ki taraf,
Mandiro me,Mazjido me,Gurudhuro me chali,
Nami Aakho me bhari,Chali vo Taja Kali,
Mahfilo me,Matamo me,Mahole me vo chali,
Abhi to Tut gai,Shakh se apni h pta,
Chali vo jodne Bandhan,Dusaro se vo Chali,
Nami Aakho me bhari,Chali vo Taja Kali,
Janti h vo, Anjaam Akhari kya hoga,
Uthaye Sar ko Anjaam se Ladne vo Chali,
Nami Aakho me bhari,Chali vo Taja Kali,
Khayal h use,Safar Bhaut chota h Magar,
Vo Muskarate huye,sabhi ke saath h magar
Nami Aakho me bhari,Chali vo Taja Kali,
to be Conti.......

Wednesday, April 4, 2012

Yahi to meri life h......

Kabhi-2 khud ko dekh kar bahut taklif hoti h.kyuki jab mai apne job ke liye jati hu to raste me aisa feel hota h ki kyu,aisi life god ji,maine aisi life nhi socha tha fir aap ne mujhe aisi life kyu di.jaha mai khush nhi hu,mujhe sukoon nhi h,shanti nhi h,bas kuch nhi h meri life me....ye sab god ji ko bol kar ladti hu.
Per us din mai aisa kuch sochate huye ja rahi thi ki achanak meri najar ek 65 saal ke dada ji per gai ko ki apne bodhe kandho per flower pots ka der sara bojh utha akr le ja rahe the. meri najar vahi tham gai,pta nhi kyu dil bas vahi ruk sa gaya tha,aur ek aisi feeling aai ki dil ne dimag ko bola ye kya bakwas soch rahe the tum.dekho in dada ji ko jo is umar me bhi vo apne majboot bodhe kandho per flowers pots utha kar le jara he h. inhe dekh kar kya lagta h ki inhe sukoon nhi h,santi nhi h,Ya kya tumhe aisa lag raha h ki vo ye soch rahe h ki unki life me kuch nhi,Nhi vo bilkul bhi aisa kuch bhi nhi soch rahe hoge,kyu ki agr vo aisa kuch bhi soch rahe hote ho vo aaj tumhe is raste me nhi dikhate,To fir tumhare kandhe to unse kai jayda majboot h fir kyu itna dar bhar rahe ho mujh me.tumhe to himmat deni chahiye thi mujhe ki nhi Anita tum kar sakti ho.Aur us raat un dada ji ke baare me bahut socha ki insaan puri life apni aise hi beeta deta h,aur ek din god ji ke pass chala jata,per kyu aisa,mera bahut dil kiya ki khas un dada ji ko aisa kuch na karna padta,kyu ki ye sab karne ki ab unki koi umar nhi h,lekin fir socha,ki mai aisa soch rahi hu,pta nhi us dada ji ke ghar me aisa kya situation hogi jo unhe ye sab karna padta h,aur jane kitne logo ko vo ye karke khushi de rahe hoge.bahut samjhaya apne dil ko fir kahi ja kar shant hua tha,vaise jab ye vakya hua tha to meri frnd Akhansha bhi mere saath thi hamne ye share bhi kiya,ki dekho hum thoda sa kaam kar ke abhi apni is umaar me thak jate h aur bolte h ki yaar ye bhi koi life h,lekin ek baar jara koi unse to puche jo dinbhar kaam karte h aur bolte h yahi to meri life h................ 

Monday, March 26, 2012

Beete lamhe.....

             
              Beete Lamhe....


Vo bhari aakho se bondo ka Sila,
Na hua band Vo Bariso sa Jo khula,
Dekhate ban Sa gaya ek rasta sa khula,
Jis pe jate huye koi  Insaa Na mila,
Vo bhari aa kho se budo ka sila.......
Najaro me jhuriyo Sa jo pada,
Andhere me kuch dikhai Na pada,
Vo bhari aa kho se bondo ka sila....... 
Jo aakhe band karne Ko mai laga,
Vo musam fir me mujhe hasane Ko laga.
Vo bhari aa kho se bondo ka sila....... 
Vo bhari aa kho se bondo ka sila....... 
Vo tham kar haath mera chalne Jo laga,
Ye yaad hi na raha ki Vo jamana to gaya,
Vo bhari aa kho se bondo ka sila....... 
Na hua band vo bariso sa Jo khula.

Saturday, March 10, 2012

Jindagi ki gaharai....

Jindagi ki gahrai ko napane me kya rakha h,
Jo pal h unhe has kar ji lo,vo pal sajone me kya rakha h,
Jindagi ki gahrai ko..........
Dard ki gahrai ko janane me kya rakha h,
Us dard ko jee lo,use kaam karne me kya rakha h,
Jindagi ki gahrai........
Likha h jo kismat me, use samjhne me kya rakha h,
jo mil jaye vo le lo,aur magne me kya rakha h,
Jindagi ki gahrai ..........
Khoubo ki sachhaiko dekhane me kya rakah h,
jo pure ho jaye  vo kar lo aur khoub dekhane me kya rakha h,

Saturday, March 3, 2012

Bachpan ke un Sapno me

Kabhi kuch aisa hoga............................
bachpan ki needo me socha hoga,apne ho sapno ko kharida hoga,
un diwaro per kuch likha hoga,jaha kuch hamne socah hoga,....
Kabhi kuch aisa hoga...............
pal jo bitaya humne hoga,un galiyo me ab vo soya hoga,
vo lagdhi vo cycle ki race,un galiyo ka ab vo sapna hoga,
Kabhi kuch aisa hoga...................
luka chupi sa jagda hota,vo bagiya ab yaad karta hoga,
yu hi aage nikalna hoga,ye khud ko samjhana hoga,
Kabhi kuch aisa hoga.....................
Kabhi kuch aisa hoga...........

Friday, March 2, 2012

parichaye

ek adhura sa parichaye jo diya gaya tha mera,nhi tha sach jo bataya gaya tha mera
ek adhura sa naam liye pura karne ki talash me,
jo badha diye h kadam khud ka parichay talas karne me,
ek adhura sa parichaye jo diya gaya tha mera,nhi tha sach jo bataya gaya tha mera
yu to jinadagi ne khud ko pana sikhaya hi nhi
bas jindagi ko sikhane yu nikal pada hu mai
ek adhura sa parichaye jo diya gaya tha mera,nhi tha sach jo bataya gaya tha mera,
jab laga khud ko kabhi socha hi nhi,
jo beete huye palo ko yaad karne mai laga,
ek adhura sa parichaye jo diya gaya tha mera,nhi tha sach jo bataya gaya tha mera,
aaj jab laga mai dekhane is duniya me apno ko,
tujhse(parichaye) bada apna is duniya me mila na koi,
ek adhura sa parichaye jo diya gaya tha mera,nhi tha sach jo bataya gaya tha mera,



Tuesday, February 28, 2012

kuch bolti h ye khali sadke........

Is bhare sahar me akela tha,kho gaya hu apni hi raho me,
dekhana h saath kab tak h ye rasta,is raste ko bhi nhi h pta 
khali sadko ko nihare ki adat ho chali h ab mujhe
kyu ki ye raste ab sunane lage h dasta ye din bhar ki mujhe,
is bhare sahar me akela tha,kho gaya hu apni hi raho me,
mila mujhe ek din ludhakta hua ek pathar,bola suno to jara koi sunta nhi h mujhe,
mai bas yu palta to dekha kahi kone se ye awaj aai, bhaga jaise meri hi shamt aai
hakikat to kuch aur h,jab suni maine us pathar ki dasta ye din
is bhare sahar me akela tha,kho gaya hu apni hi raho me,
jab bhi chata dekhu mai un khali sadko ke seene me,
vo dhayal sa dil karata sa mila,jis per chalte h bedard sabhi
vo(sadko) na uff kiya h ab tak dekho,usne apne seene me jagh di hame,
Is bhare sahar me akela tha,kho gaya hu apni hi raho me,