Saturday, February 23, 2013

Five days in Delhi ...........!!!!!!!??????




After attending My Friend wedding I planned to gone delhi just to meet my friend who lived in delhi..Delhi ja rahi thi to mai bahut khush thi,  kyu ki mai chahati thi delhi jana, Maine kabhi delhi nhi dekha tha.aur ye meri dilli ichcha thi ki mai delhi dekhu,delhi ghumu,vaha ki roads per walk karu,.aisa hi socha tha maine karne ko jab mai train me beithi thi.aur jaipur cross karte hi delhi ki shuruwat ho gai thi....meri side lower ki berth thi 24 no... but mujhe tik se beithnae tak ko nhi mila tha.just because ki tarin me daily  travel karne vale itne trained the ki unhe hum na kah hi nhi paye.aur aise hi dekhate huye jaipur to delhi ka safar cut gaya tha. aur finally i m in delhi station, Meri train old delhi station per ruki thi then maine meri frnd se co ordinate kiya to pta chal ki mujhe yaha se auto karke lakshmi Nagar Metro pahuchna tha. Station se mai bahar aai pta nhi kyu mujhe thoda sa dar laga station me aate hi, kuch alag sa tha.but fir bhi maine apne face se aisa kuch bhi jahir nhi hone diya. fir maine bahut himamt ke saath auto ke pass gai.mai kuch puchati jab tak ek person ne help ke aur mai lakshmi nagar metro pahuch gai,vaha mujhe radh apne frnds ke saath mil gai,sayd kisi ki wedding me ja rahe the.fir mujhe bhi jana pada aur vaha sab tik tha but fir bhi mujhe ek comfort nhi feel ho raha tha. lekin maine is baat ko ignore kiya aur wedding attend ki. then fir apni frnd ke room per aa gai.vaha unhe baat karne ka way,rahne ka way,totaly different tha.fir uski jo rom mate thi,mere dimag se bahar thi.aur mujhe samjh ni aa raha tha ki.why she behaving like that. aur jab vaha ruki to pta chal ki vaha per aise rahna aur baat karna normal h jo ki meri liye acceptable nhi tha.same day hi maine decide kiya ki mujhe nhi rahana h Delhi me.aur maine 12thDec se retrun ka reservation kara liya tha.maine Monday and Tuesday maine kaise bitaya mujhe hi pta h.pta ni kyu dar lag raha tha room se bahar jane me. aur fir mai 12th Dec ko Ahmedabad ke liye aa gai. but really when i came back to ahmedabad, Maine socha nhi tha.jo ek dar mere dil me tha.vo kuch is tarah se bahar aayega ki mujhe Delhi naam ka dar beith jayega.vo ek raat,vo hour jo us ladki ne mahsoon kiya hoga.hum soch bhi nhi sakte h ki usne kitana dard mahsoos kiya hoga.meri ruh kaap jati h jab sochati hu aur dil rota h,kyu ki aakho se aashu ni aa rahe the.dil me laga raha tha.mai 12 th Dec ki night me hi aa rahi thi.auto me akele thi.may be mai bhi ye ladki ho sakti thi.fir dil kahta h.kyu?????? kisi ladki ke saath aisa karna. kyu aisa karna ki hume ladki hone per sharam aaye aur dar lage ki god ne hume ladki kyu banaya h. meri delhi me bitaye vo 5 days,aise the jaise kisi jail me hu.ek dar sa dil me.lekin use explain ni kar pa rahi thi.ab pta chala ki mujhe kis baat ka dar lag raha tha.kyu ki mai bhi ek ladki hu aur ek ladki ka intution tha.ki ye delhi mere liye nhi h........Now I feeling WHY??????????.....kya Galti thi??? that She was a Girl???? :( now Ye five days mujhe aise feel ho rahe the vaise Tufan aane ke Pahle ke pal maine jiye ho...aur tufan is tarah ka hoga,jo puri country ho hila kar rakh dekha....:(  mai bahut paresaan thi ki mai vaha thi abhi five days pahle aur ye sab kaise ho gaya..maine kahi spane me bhi ni socha tha..but ye ho gaya.Vo ek aisa dard le kar gai h id duniya se jiski koi dava ni thi...agr hum un bure logo ko punish bhi kare to, koi mtlab ni h,kyu vo dard jo us wakt us ladki ne feel kiya nhi kaam hoga....us dard ki tees nhi kaam hogi, kuch ni hoga,.....aur viase bhi kuch hua bhi ni, kyu is ghanta ke baad hi kalcutta me same thing hua...but result nothing,..jaldhar ke kisi chotte se village me hua but result nothing....akhir kyu aisa kar rahe h log. agr unh ladkiyo ka body hi chahiyue jo jaye na shadhi kar le,,,, kuch bhi kare but aisa nhi hona chahiye,....vo aisa kyu ni sochte h ki unke kuch hour se sukoon aur joonun ke liye vo kisi ki puri life vo kharb kar dete h....jaha na to vo ji sakti h aur ha mar jarur sakti h is giult ke saath ki vo ek ladki thi......:(:(:(:(:( 

1 comment: